Jahaan Baani Ataa Kardein Bhari Jannat Hibah Kar Dein
Nabi Mukhtaar-E-Kul Hein Jis Ko Jo Chaahe Ataa Kar Dein
___________________________________________________
Jahaan Mein Unki Chalti Hai Woh Dum Mai Kya Se Kya Kar Dein
Zameen Ko Aasmaan Kar Dein Suraiyyaa Ko Saraa Kar Dein
___________________________________________________
Fiza Mein Urne Waale Yoon Na Itraa`E Nida Kar Dein
Woh Jab Chaahe Jis-Se Chaahe Us-Se Farmaa Rawaa Kar Dein
___________________________________________________
Meri Mushkil Ko Yoon Aasaan Mere Mushkil Kushaa Kar Dein
Har Ik Mauje Balaa Ko Mere Maula Naa Khuda Kar Dein
___________________________________________________
Ataa Ho Bekhudi Mujh Ko Khudi Meri Hawa Kar Dein
Mujhe Yoon Apni Ulfat Mein Mere Maula Fanaa Kar Dein
___________________________________________________
Jahaan Mein Aam Paighaam-E-Shahe Ahmad Raza Kar Dein
Palat Kar Peechhe Dekhen Phir Se Tajdeed-E-Wafaa Kar Dein
___________________________________________________
Nabi Se Jo Ho Beygaana Usse Dil Se Juda Kar Dein
Pidar Maadar Biraadar Maal-O-Jaan Un Par Fidaa Kar Dein
___________________________________________________
Munawwar Meri Aankhon Ko Mere Shamsud Duhaa Kar Dein
Ghamon Ki Dhoop Mein Wo Saaya-E-Zulfe Dotaa Kar Dein
___________________________________________________
Kisi Ko Woh Hansaate Hein Kisi Ko Woh Rulaate Hein
Woh Yoon Hi Aazmaate Hein Woh Ab To Faislah Kar Dein
___________________________________________________
Gile Taybah Mai Mal Jaaoon Gulon Mai Mil Ke Khil Jaaoon
Hayaate Jaawidaani Se Mujhe Yoon Aashnaa Kar Dein
___________________________________________________
Unhein Manzoor Hai Jab Tak Yeh Daure Aazmaaish Hai
Nah Chaahein To Abhi Woh Khatm Daur-E-Ibtilaa Kar Dein
___________________________________________________
Sa`Ge Aawaara-E-Sehraa Se Uktaa Si Ga`Ee Duniya
Bachaao Ab Zamaane Ka Sagaan-E-Mustafa Kar Dein
___________________________________________________
Mujhe Kya Fiqr Ho Akhtar Mere Yaawar Hai Woh Yaawaar
Balaaon Ko Jo Meri Khud Giraftaare Balaa Kar Dein
___________________________________________________
Naat Title | Jahaan Baani Ataa Kardein Bhari Jannat Hibah Kar Dein |
Naat khawan | Alhaj Owais Raza Qadri |
Language | Urdu |
Lyrics | Akhtar Ali |
Album | Nill |
Duration | 05.1 Minutes |
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.