Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
________________________________
Huzoor Aisa Koi Intizaam Ho Jaye…
Salaam Ke Liye Haazir Ghulam Ho Jaye…
________________________________
Naseeb Walon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye…
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye…
________________________________
Mein Shaad Shaad Maronga Agar Dum-e-Aakhir
Zubaan Pe Jaari Muhammad Ka Naam Ho Jaye…
________________________________
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
________________________________
Woh Bazm-e-Khaas Jo Darbaar-e-Aam Ho Jaye…
Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye…
________________________________
Idher Bhi Ik Nigaah-e-Lutf-e-Aam Ho Jaye…
Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye…
________________________________
Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood
Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam ho Jaye…
________________________________
Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur
Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye…
________________________________
Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon
Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye…
________________________________
Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf
Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye…
________________________________
Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum
Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye…
________________________________
Meri Namaz-e-Janazah Ki Yun Ibadat Ho
Ke Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye…
________________________________
Sahara Chahiyay Sarkar Zindagi Ke Liye
Tarap Raha Hoon Madinay Ki Haazri Ke Liye
________________________________
Piya Raza O Ziya Ne Piya jou Murshid Ne
A’ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye…
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.