Aakhri Lamhon Mein Kya Shehr O Biyabaan Dekhun…
Ab Toh Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madeena Dekhun…
__________________________________________
Roo Ba Roo Rauza E Sarkar Ke Ho Mehfil E Naat,
Kaash Taiba Haseen Ayesa Zamana Dekhun…
__________________________________________
Saail E Dar Ko Shahinsha E Zamana Kar Dein,
Shah E Batha Ka Wo Andaze Shaahana Dekhun…
__________________________________________
Sajda E Sar Main Karun Ka’abe Ki Azmat Ke Liye,
Sajda E Dil Ke Liye Ka’abe Ka Ka’aba Dekhun…
__________________________________________
Unke Darbaar Mein Kuch Hamko Mile Ayesi Ataa,
Auj Pe Apne Muqaddar Ka Sitara Dekhun…
__________________________________________
Yaa Nabi Kardo Mere Dil Ko Sabhi Zang Se Paak,
Wasl Ki Raat Ko Main Dil Ka Chamakna Dekhun…
__________________________________________
Sadqa E Aale Nabi Hamko Mile Aaj Ki Shab,
Gulshan E Zahra Ka Rangeen Nazara Dekhun…
__________________________________________
Maal O Zarr Paas Nahin Aur Na Parr Hain Mere,
Bada Mushkil Hai Ke Main Jaake Madina Dekhun…
__________________________________________
Sabir E Chishty Tadap Dil Mein Yun Karle Paida,
Aankh Jo Band Karun Pyaara Madeena Dekhun…
__________________________________________
Yun To Is Waqt Bhi Aankhon Mein Hai Rauza Unka,
Mere Aaqa Ka Haqeeqat Me Bulana Dekhun…
__________________________________________
Wo Yaqeenan Mujhe Bulwainge Taiba Sabir,
Aur Wahin Shaan Se Main Jaan Ka Jaana Dekhun…
__________________________________________
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.