Aaya Ramzaan Ka Mahina Khafila Chala Soo-E-Madeenah
Mujhe Bhi Do Izn-E-Madeenah Aane Ki Sarkare Madeenah
_____________________________________________
Mujhe Na Aaya Bulawa Kitni Hai Dil Me Tamanna
Kash Aqa Mai Bhi Dekh Leta Bahar-E-Ramzaan-E-Madinah
_____________________________________________
Meri Qismat Ko Bhi Khudara Tum Sajana
Hasnain Ke Sadqe Me Dikhana Baar Baar Madeenah
_____________________________________________
Kahaan Jaon Kahaan Daman Pasaroon Mai Malik-E-Madeenah
Aas Lagai Hamne Tumhare Dar Se Ae Shahinsha-E-Madeenah
_____________________________________________
Kaheen Aisa Na Ho Seene Me Dafan Karke Gham-E-Madeenah
Mai Duniya Se Chala Jaon Bin Deed Ke Madeenah
_____________________________________________
Ghamaun Ke Sailab Me Dooba Jaraha Hoon Sultan-E-Madeenah
Lillah Imdad Ko Aao Meri Sarwar-E-Madina
_____________________________________________
Iss Saal Zaroor Mujh Aasi Ko Sarkar Bulana
Rauda-E-Anwar Aur Gumbade Khizra Dikhana
_____________________________________________
Chamka Kar Meri Aankhaun Ko Jalwa Dikha Dena
Dekh Loon Aankh Bharke Tum Ko Shahe Madeenah
_____________________________________________
Duniya Ki Mohabbat Dil Se Nikal Jae Aqa-E-Madeenah
Rahe Chashm-E-Nam Dil Me Bas Gham-E-Madeenah
_____________________________________________
Maana Ke Nahi Qabil Hoon Jo Dekhoon Tumhara Madeenah
Phir Laoon Kahaan Se Wo Aamal Mai Sarkar-E-Madeenah
_____________________________________________
Nahi Jaber Ke Paas Koi Zar Jo Dekhe Pyara Madeenah
Itna To Ho Karam Khabaun Me Ise Dikhado Madeenah
_____________________________________________
Nahi Mal O Zar To Kya Hain Main Gareeb Hoon Yehi Na
Mere Ishq Mujhko Le Chal Tu Janibe Madeenah Madeenah.
_____________________________________________
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.