Ae Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua karna Full Naat Lyrics

Ae Sabz Gumbad Walay Full Naat Lyrics

 

Ae Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Ae Noor E Khuda Aakar Ankhoon Mein Sama Jana
Ya Dar Pe Bula Lena Ya Khawab Main Aa Jana
Ae Parda Nasheen Dil Ke Parde Mein Raha Kerna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Aata Karna….

___________________________________

Aie Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Main Qabr Andheri Mein Ghabraoon Ga Jab Tanha
Imdaad Meri Karna…. Aajana Meray Shaaha

Roshan Meri Turbath Ko Aie Noor E Khuda Kerna
Jab Waqt E Nazah Aaye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Ae Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Mujrim Hoon Jahaan Bhar Ka Mehshar Mein Bharam Rakhna
Rusva E Zamana Houn Daman Mein Chupa Lena
Maqbool Yeh Aarz Meri Lillah Zara Kerna
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Ae Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Chehre Se Ziya Payee In Chand Sitaaron Nay
Us Dar Say Shifa Paaye Dukh Dard Kay Maaron Ne
Aataa Hai Unhein Sabir Har Dukh Ki Dawa Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Ae Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Mehboob Ilaahi Sa Koyi Na Haseen Dekha
Ye Shaan Hi Inki Ke Saaya Bhi Nahin Dekha
Allah Nay Saaye Ko Chaha Na Judah Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

Ae Sabz Gumbad Walay Manzoor Dua Karna….
Jab Waqt E Nazah Aye Deedar Ataa Karna….

___________________________________

 

author avatar
Muhammad Waseem Owner
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.