Sabhi Khush Hain
Sabhi Khush Hain Khudayi Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zahra Ki Shaadi
_________________________________________
Larka Hai Khuda Ke Ghar Ka Larki Hai Nabi Ke Ghar Ki
Wo Arz O Samaan Ka Maalik Ye Malika Behr O Bar Ki
Zameen Raksa Hai Raksa Aasmaan Bhi
_________________________________________
Haidar Hai Kulle Imaan Aur Kulle Ismat Zahra
Us Sar Pe Wafa Ka Sehra Is Sar Pe Haya Ka Sehra
Wo Shehzaada Hai Aur Ye Shaahzaadi
_________________________________________
Dulha Ke Roop Me Pyaare Ali Ibne Taalib Hain
Tha Baap Bhi Sab Se Ghaalib Ye Bhi Kulle Ghaalib Hai
Ye Daamaade Nabi Hai Aur Wo Sambdhi
_________________________________________
Baaraat Chali Haidar Ki Rehmat Ke Saaye Saaye
Baaraat Ke Aage Aage Qur’aan Qaside Gaaye
Nabi Saare Chale Ban Kar Baraati
_________________________________________
Tohfe Me Mile Mehk Aise Inhein Jannat Aur Kawsar Ko
Ye Saara Namak Aur Paani Haq Mehr Mila Zahra Ko
Salaami Me Mili Marzi Khuda Ki
_________________________________________
Qudrat Ki Taraf Se Inko Abi Tohfe Aur Milenge
Kal Inke Haseen Aangan Me Do Asli Phul Khilenge
Haseen Shajarein Jinhein Denge Salaami
_________________________________________
Ab Chaahe Koyi Bharke Ab Chaahe Koyi Tarpe
Ab Meri Bhalaa Se Chaahe Mar Jaaye Koyi Jal Jal Ke
Khushi Ki Baat Thi Maine Sunaadi
_________________________________________
Kaise Ho Bayaan Wo Manzar Jab Khatam Huei Sab Rasmein
Konain Ki Har Sheh Gauhar Kehti Thi Kha Kar Kasmein
Mubaarak Hai Mubaarak Hai Ye Shaadi
_________________________________________
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.