Faqeeron Ka Bhi Kya Chahe Jahan Basti Basa Baithay
Ali Waley Jahan Baithay Wahi Jannat Bana Baithay
____________________________________________
Faraz E Daar Ho Maqtal Ho Zindan Ho Ke Sehraa Ho
Jali Ishq E Ali Ki Shamma Aur Parwane Aa Baithay
____________________________________________
Koi Mausam Koi Bhi Waqt Koi Bhi Ilaqa Ho
Jahan Zikr E Ali Chheda Wahan Deewane Aa Baithay
____________________________________________
Ali Waalon Ka Marna Bhi Koi Marne Me Marna Hai
Chale Apne Makan Se Aur Ali Ke Dar Pe Ja Baithay
____________________________________________
Idhar Rukhsat Kiya Sabne Udhar Aye Ali Lene
Yahan Sab Ro Rahe The Hum Wahan Mehfil Saja Baithay
____________________________________________
Abhi Mai Qabr Me Leta Hi Tha Ek Noor Sa Faila
Meri Baali Pe Aake Khud Ali E Murtaza Baithay
____________________________________________
Ali Ke Naam Ki Mehfil Saji Shehr E Khamosha Me
The Jitne Bawafa Woh Sab Ke Sab Mehfil Me Aa Baithay
____________________________________________
Nizamat Ke Liye Maula Ne Khud Meesam Ko Bulwaya
Woh Lehja Tha Ke Sab Daanto Tale Ungli Daba Baithay
____________________________________________
Ye Kaun Aya Ke Isteqbaal Me Sab Ambiya Uthe
Na Baithayga Koi Tab Tak Na Jab Tak Fatima Baithay
____________________________________________
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.