Alwida Alwida Mahe Ramzan Full Ramadan Naat Lyrics

Qalb-E-Aashiq Hain Ab Para Para,
Alwida Alwida Mahe Ramzan.
___________________________
Tere Aaney Se Dil Khush Huwa Tha,
Aur Zoak-E-Ibadat Badha Tha,
Aahh Ab Dil Pe Hain Ghum Ka Galba,
Alwida Alwida Mahe-E-Ramzan.
___________________________
Naikiyan Kuch Na Hum Kar Sakain Hain,
Aah Issiya He Main Din Katain Hain,
Haaye Gaflat Main Tujh Ko Guzara,
Alwida Alwida Mah-E-Ramzan.
___________________________
Koi Husn-E-Amal Na Kar Sakaa Hoo,
Chand Ansoo Nazar Kar Raha Hoo,
Yehi Hai Mera Kul Asasaaa,
Alwida Alwida Mah-E-Ramzan.
___________________________
Jub Guzar Jayenge Mah Giyara,
Teri Aamad Ka Aamad Ka Phir Shoor Hoga,
Kiya Meri Zindagi Ka Bharosa,
Alwida Alwida Mah-E-Ramzan.
___________________________
Bazm Iftar Sajti Thi Thi Kaisi,
Khood Sehri Ki Ronak Bhi Hotee,
Sub Sama Hogaya Suna Suna,
Alwida Alwida Mah-E-Ramzan.
___________________________
Yaad Ramzan Ki Tarpa Rahee Hai,
Aansoo Ki Jarhee Lag Gayee Hain,
Keh Raha Hai Har Aik Qatra,
Alwida Alwida Mah-E-Ramzan.
___________________________
Tere Diwane Sub Ke Sub Ro Rahe Hain,
Muztarib Sub Ke Sub Ho Rahe Hain,
Kaun Dega Inhe Ab Dilasa,
Alwida Alwida Mahe Ramzan.
___________________________
Sag-E-Attar, Badkar, Qahil,
Rah Gaya Yeh Ibadat Se Gaafil,
Is Se Khush Hoke Hona Rawana,

Hum Sub Se Khush Hoke Hona Rawana
Alwida Alwida Mahe-E-Ramzan,
Alwida Alwida Mahe-E-Ramzan.
___________________________
Aae Musalman Tho Zinda Rahoge,
Is Mahiney Ko Phir Dekh Looge,
Kiya Teri Zindagi Ka Bharoosaaa,
Alwida Alwida Mah-E-Ramzan.
___________________________
Saal-E-Ainda Shah-E-Haram Tum,
Karna Hum Sub Par Yeh Karam Tum,
Tum Madinay Mai Ramadan Dekhana,
Tum Madinay Mai Ramadan Dekhana,
Tum Madinay Mai Ramadan Dekhana

Alwida Alwida Mah-E-Ramadan.
___________________________
Waasta Tujh Ko Meethey Nabi Ka,
Hashr Mai Humko Mat Bhool Jana,
Roz-E-Mehshar Humain Bukhshwana,
Roz-E-Mehshar Humain Bukhshwana

Alwida Alwida Mah-E-Ramadan.
___________________________
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-E-Ramzan,
Tum Pe Lakhoo Salam Mah-E-Gufran,
Jao Hafiz Khuda Ab Tumhara,
Alwida Alwida Mah-E-Ramadan.
Alwida Alwida Mahe-E-Ramzan,

___________________________