Arshe Haq Hai Masnade Riffat Rasulullah Ki Full Naat Lyrics

Arsh-E-Haq He Musnade Riffat Rasulullah Ki
Dekhni He Hashr Me Izzat Rasulullah Ki
_____________________________________
Qabar Me Lehrayen Ge Ta Hashr Chashme Noor Ke
Jalwah Farma Hogi Jab Talat Rasulullah Ki
_____________________________________
Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab
Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasulullah Ki
_____________________________________
Laa Wa Rabbil Arsh Jisko Jo Mila Unse Mila
Batti He Kownain Me Nemat Rasulullah Ki
_____________________________________
Wo Jahannum Me Gaya Jo Unse Mustaghni Huwa
Hai Khalleelullah Ko Haajat Rasulullah Ki
_____________________________________
Sooraj Ultay Paaw Palte Chaand Ishaare Se Ho Chaak
Andhe Najdi Dekhle Qudrat Rasulullah Ki
_____________________________________
Tujhse Aur Jannat Se Kya Matlab Wahabi Duur Ho
Hum Rasulullah Ke, Jannat Rasulullah Ki
_____________________________________
Zikar Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(N) Rahe
Phirr Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasulullah Ki
_____________________________________
Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai
Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasulullah Ki
_____________________________________
Hum Bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse Fazoo
Aur Naa Kehna Nahee Aadat Rasulullah Ki
_____________________________________
Ahle Sunnat Ka He Bera Paar Ashaabe Rasool
Najm He Aur Naav Hai Itrat Rasulullah Ki
_____________________________________
Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila
Jaan Ki Akseer Hai Ulfat Rasulullah Ki
_____________________________________
Toot Jaa-Enge Gunaahgaro Ke Fawran Qaid-O-Bund
Hashr Ko Khuljaaegi Taaqat Rasulullah Ki
_____________________________________
Ya Rabb Ik Saaat Me Dhul Jaa-E Siyaahkaro Ke Jurm
Josh Par Aa Jaaye Ab Rehmat Rasulullah Ki
_____________________________________
Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor
Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasulullah Ki
_____________________________________
Ae Raza Khud Saahibe Quraan Hai Muddaahe Huzoor
Tujh say Kab Mumkin He Phir Midhat Rasulullah Ki

_____________________________________