Bakht-E-Khufta Ne Mujhe Roazy Pe Jaane Na Dia
Chashm-O-Dil Seenay Kaleyje Se Lagane Na Dia
______________________________________
Aah! Kismat Mujhe Duniya Ke Ghamon Ne Roka
Haaye! Taqdeer Keh Taiba Mujhe Jaane Na Dia
______________________________________
Itna Kamzor Kiya Zoaafa E Quwwa Ne Mujh Ko
Paanv To Paanv Mujhe Sarr Bhi Uthane Na Dia
______________________________________
Kabhi Beemar E Muhabbat Bhi Hue Hai Achhe
Roz Afzu(N) Hai Marz Kaam Dawa Ne Na Dia
______________________________________
Sharbat-E-Deedar Ne Aur Aag Lagadei Dil Mein
Tappash-E-Dil Ko Barhaya Hai Bujhanay Na Dia
______________________________________
Ab Kahan Jayega Naqsh Tera Mere Dil Se
Teh Mein Rakha Hai Issay Dil Ne Gumanay Na Dia
______________________________________
Mere A’mal Ka Badla Tou Jahannum Hee Tha
Mein Tou Jaata Mujhe Sarkar Ne Jaane Na Dia
______________________________________
Nafs-E-Badkaar Ne Ne Dil Pe Ye Qiyamat Torri
Amal Naik Kia Bhi Tou Chupanay Na Dia
______________________________________
Aur Chamakti C Ghazal Koi Parho Ae Noori
Rung Apna Abi Jamnay Sho’ara Ne Na Dia
______________________________________
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.