Saturday , August 24 2019

Barri Umeed Hai Sarkar Kadmon Mein Bulayen Gay Naat Lyrics

Barri Umeed Hai Sarkar Kadmon Mein Bulayen Gay
Karam Ki Jab Nazar Ho Gi Madine Hum Bhi Jayen Gay
________________________________________
Agar Jaana Madine Mein Huwa Hum Gham Ke Maaron Ka
Makeene Gumbad-E-Khazra Ko Haal-E-Dil Sunayen Gay
________________________________________
Kasam Allah Ki Ho Ga Woh Manzar Deed Ke Qabil
Qayamat Mein Rasulallah Jab Tashreef Layen Gay
________________________________________
Qayamat Tak Jagayen Gay Na Phir Munkar Nakeer Usko
Lahad Mein Wo Jisse Apna Rukh-E-Zaiba Dikhayen Gay
________________________________________
Gunahgaron Mein Khud Aa Aa Kar Shamil Parsaa Hon Gay
Shafi-E-Hashr Jab Daaman-E-Rehmat Mein Chupayen Gay
________________________________________
Gham-E-Ishq-E-Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar
Tere Zulmat Kade Mein Bhi Sitare Jagmagayen Gay

________________________________________