Bheeni Suhani Subhu Mein Thanddak Jigar Ki Hai
Kaliyaan Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai.
_______________________________________
Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar Mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai.
_______________________________________
Daaliey Hari Bhari Hai To Baaleiy Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Baarish Kidher Ki Hai.
_______________________________________
Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey
Sounpa Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai.
_______________________________________
Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidhar Ki Hai.
_______________________________________
Kalik Jabeen Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai.
_______________________________________
Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh Se
Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai.
_______________________________________
Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Araz Ye Mizaabe Zar Ki Hai.
_______________________________________
Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai.
_______________________________________
Haan Haan Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai.
_______________________________________
Waaru Qadam Qadam Pa Kay Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaan Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai.
_______________________________________
Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri
Marmar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai.
_______________________________________
Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak
Hasrat Malaika Ko Jahaan Wazye Sar Ki Hai.
_______________________________________
Mearaj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zaeroo
Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai.
_______________________________________
Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai.
_______________________________________
Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai.
_______________________________________
Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei
Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai.
_______________________________________
Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood
Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai
_______________________________________
Sadayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei
Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai.
_______________________________________
Sattar Hazaar Subhu Mei Sattar Hazaar Shaam
Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai.
_______________________________________
Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge
Rukhsat Hi Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai.
_______________________________________
Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Bey Hukm Kab Majaal Parinde Ko Par Ki Hai.
_______________________________________
Ay Waye Beiqasiye Tammana Ke Ab Umeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai
_______________________________________
Ye Badliyan Na Ho To Karooron Ki Aas Jaye
Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai.
_______________________________________
Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar
Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai.
_______________________________________
Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai.
_______________________________________
Muflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai.
_______________________________________
Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal
Han Be-Nawao Khuub Ye Sorat Guzar Ki Hai.
_______________________________________
Hai Chatro Takht Saya-E Dewaaro Khaake Dar
Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai.
_______________________________________
Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai,
Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai.
_______________________________________
Kioo Taajdaaro! Khawaab Mei Dheki Kabhi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyo Mei Gadhayaane Dar Ki Hai.
_______________________________________
Jaaru-Kasho Mei Chehre Likhey Hai Mulook Ke
Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai.
_______________________________________
Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh
Seedhi Sadak Ye Shahre Shafat Nagar Ki Hai.
_______________________________________
Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido!
Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai.
_______________________________________
Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Nafa Mahaz
Wusa’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai.
_______________________________________
Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar
Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai.
_______________________________________
Kaba Dhulhan Hai Turbate At-Har Nayi Dulhan
Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai.
_______________________________________
Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar
Jo Pe Ke Paas Hai Wo Suhagan Kunwar Ki Hai.
_______________________________________
Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo
Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai.
_______________________________________
Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko
Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai.
_______________________________________
Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool
Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai.
_______________________________________
Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaan Ki Khair
Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai.
_______________________________________
Roomi Ghulam Din Habshi Baandiyan Shabe
Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai.
_______________________________________
Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye
Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai.
_______________________________________
Arshe Barein Pe Kion Na Ho Firdous Ka Dimaagh
Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai.
_______________________________________
Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat
Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai.
_______________________________________
Amber Zameen, Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar
Adna Si Ye Shanaakhat Teri Rahguzar Ki Hai.
_______________________________________
Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha
Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai.
_______________________________________
Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge
Sarkar Mei Na Laa Hai Na Hajat Agar Ki Hai.
_______________________________________
Uff Be-Hayayiaa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor
Ha Tu Kareem Hai Teri Khu Dar Guzar Ki Hai.
_______________________________________
Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne
Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai.
_______________________________________
Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku
Kia Pursish Aur Ja Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai.
_______________________________________
Baab E Ata To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai.
_______________________________________
Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa
Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar Ki Hai.
_______________________________________
Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya
Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai.
_______________________________________
Ghera Andheriyo Ne Duhee Hai Chand Ki
Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai.
_______________________________________
Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj
Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai.
_______________________________________
Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli
Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai.
_______________________________________
Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se
Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai.
_______________________________________
Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se
Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai.
_______________________________________
Mai Khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi
Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai.
_______________________________________
Mangta Ka Haath Uth-Te Hi Daata Ki Dayn Thi
Doori Kabool O Araz Mein Bas Haath Bhar Ki Hai.
_______________________________________
Sanki Wo Dekh Baade Shafat Ki De Hawa
Ye Aabroo ‘Raza’ Tere Damaan E Tarr Ki Hai
___________________________________