Falak Ke Naazaro, Zameen Ki Baharo
Sub Eidein Manao Huzoor Aa Gaye Hain
___________________________________
Uttho Bay Saharo Chalo Gham Ke Maaro
Khabar Ye Sunao Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
___________________________________
Anokha Niraala Woh Zee Shaan Ayaa
Woh Saray Rasoolaun Ka Sultan Ayaa
Aray Kaj Kula’ho Aray Baadshaho
Nigahein Jhukao Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
___________________________________
Huwaa Char Su Rahmataun Ka Ba’sayra
Ujaala Ujaala’ Sawera, Sawera
Haleema (R.A) Ko Pohnchi Khabar Aamina (R.A) Ki
Mere Ghar Main Aao, Huzoor Aa Gaye Hain
___________________________________
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
Hawaun Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke
Fazaun Mein Naghmaat Salle’Alla Ke
Daroodaun Ke Gajrey, Salamaun Ke Tohfay
Ghulamo Sajaao, Huzoor Aa Gaye Hain
___________________________________
Sama Hai Sana E Habeeb E Khuda Ka
Ye Meelad Hai Sarwaray Ambiya Ka
Nabi Ke Gadao Sub Ek Doosre Ko
Khabar Ye Sunao, Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
___________________________________
Kahaan Mai Zahuri Kahaan Unki Batein
Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Ratein
Jahaan Par Bhi Jaao Dilaun Ko Jagao
Yahi Kehte Jaao, Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
___________________________________
Naat Title | Falak Ke Naazaro Zameen Ki Bahaaro |
Naat Khawan | Milad Raza Qadri |
Language | Urdu |
Lyrics | Muhammad Ali Zahoori Qasoori |
Album | Nill |
Duration | 8.08 Minutes |
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.