Faraz E Arsh Ne Chuma Hussain (R.A) Ka Sajda Full Manqabat Lyrics

Faraz -E- Arsh Ne Chuma Hussain (R.A) Ka Sajda
Bana He Kaabe Ka Tugra Hussain (R.A) Ka Sajda
__________________________________
Har Ek Sajda Baraati Lage Hai Mehshar Main
Bana Hai Hashr Main Dulhaa “Hussain (R.A)” Ka Sajdah
__________________________________
Janaab-E-Fatma Zahraa Ne Apni Aanchal Main
Bahut Sambhaal Ke Rakhkha Hussain (R.A) Ka Sajdah
__________________________________
Bashar Bashar Hai Malaaik Bhi Jispe Nazaa Hain
Ada Huwa Hai Kuch Aisa Hussain (R.A) Ka Sajdah
__________________________________
Namaz-E-Arsh Ka Tohfa Baraa-E-Ummat Hain
Aur Baraa-E-Arsh Hai Tohfa Hussain (R.A)” Ka Sajdah
__________________________________