Faslon Ko Takalluf Hay Hum Say Agar,
Hum Bhi Bebas Nahin Besahara Nahi.
Khud Unhi Ko Pukarengey Hum Door Say
Raaste Mein Agar Paon Thakk Jayengay.
________________________________
Hum Madinay Mein Tanha Nikal Jayengey,
Aur Galiyon Mein Kus Dun Batak Jayengey.
Hum Wahan Jakey Wapas Nahin Ayengay.
Dhoondtay Dhoondte Loog Thakk Jayengey.
Jaisay Hi Sabz Gumbad Nazar Ayega,
Bandagi Ka Kareena Badal Jaye Ga.
Sar Jhukane Ki Fursat Milay Gi Kisayy.
Khud Hi Palkon Say Sajdey Tapak Jayengey.
Naam E Aaka Jahan Bhi Liya Jayega,
Zikr Unka Jahan Bhi Kiya Jayega.
Noor Hi Noor Sayeno Mein Bhar Jayega,
Sari Mehfil Mein Jalwe Lapak Jayegey.
Aie Madinay Kay Zahir Khuda Ke Liye,
Dastaan E Safar Mujko Yoon Mat Suna.
Baat Bhar Jayegi Dil Tarap Jayega,
Meray Mohtat Ansoo Chalak Jayegay.
Unki Chashme Karam Ko Hay Iski Khabar,
Kis Musafir Ko Hay Kitna Shaukey Safar.
Humko Iqbal Jab Bhi Ijazat Mili,
Hum Bhi Aaqa Kay Darbar Tak Jayegeney.