Gham Ho Gaye Beshumar Aaqa…
Banda Teray Nisaar Aaqa…
_________________________
Bigda Jaata Hai Khel Mera
Aaqa… Aaqa… Savaar Aaqa…
_________________________
Manjdhaar Pe Aake Naav Tuti
De Haath Ki Hu Main Paar Aaqa…
_________________________
Tuti Jati Hain Peeth Meri
Lillah Ye Bojh Utaar Aaqa…
_________________________
Halka Hai Agar Hamara Palla
Bhari Hain Tera Waqar Aaqa…
_________________________
Majboor Hain Hum To Fikr Kya Hai
Tumko To Hain Ikhtiyar Aaqa…
_________________________
Main Duur Hu Tum To Ho Mere Paas
Sun Lo Meri Pukaar Aaqa…
_________________________
Mujhsa Koi Ghamzada Na Hoga
Tumsa Nahi Ghamgusar Aaqa…
_________________________
Girdaab Me Pad Gayi Hai Kashti
Duba Duba Utaar Aaqa…
_________________________
Tum Wo Ki Karam Ko Naaz Tumse
Main Wo Ke Badee Ko Aar Aaqa…
_________________________
Fir Muh Na Pade Kabhi Khiza Ka
De De Aisi Bahaar Aaqa…
_________________________
Jiski Marzi Khuda Na Taale
Mera Hai Wo Naamdar Aaqa…
_________________________
Hain Mulke Khuda Pe Jiska Qabza
Mera Hain Wo Kaamgar Aaqa…
_________________________
Soya Kiye Naabkaar Bande
Roya Kiye Zaar Zaar Aaqa…
Kya Bhul Hai Unke Hote Kahlaye
Duniya Ke Ye Tajdaar Aaqa…
_________________________
Unke Adna Gada Pe Mit Jaye
Aise Aise Hazaar Aaqa…
_________________________
Be-Abre Karam Ke Mere Dhabbe
La Tagsiluhal-Bihar Aaqa…
_________________________
Itni Rehmat Raza Pe Kar Lo
La Yakrubuhul Bawaar Aaqa…
_________________________