Gham Sabhi Rahat O Tasqeen Mein Dhal Jaate Hain
Jab Karam Hota Hai Halat Badal Jaate Hain
__________________________________________
Un ki Rehmat Hai Khata posh Gunahgaaron Ki
Khote Sikke Sare Bazaar Bhi Chal Jate Hai
__________________________________________
Isme Ahmad Ka Wazifa Hai Har Ek Gham Ka Ilaaj
Laakh Khatre Hon Isi Naam Se Tal Jaate Hai
__________________________________________
Apni Aagosh Mein Le Leta Hai Jab Un ka Karam
Zindagi Ke Sabhi Andaaz Badal Jaate Hai
__________________________________________
Aa Pade Hain Terey Qadmo Mein Ham Bhi Ye Sun Kar
Jo Tere Qadmon Pe Girte Hai Sambhal Jaate Hain
__________________________________________
Koi Dekhe To Zara Unki Duhaai De Kar
Ishq Sadik Ho To Pathar Bhi Pighal Jaate Hain
Rakh Hi Lete Hain Bharam Unke Karam Ke Sadqe
Jab Kisi Baat Pe Deewane Machal Jaate Hain
__________________________________________
Kaif Afza Hai Wohi Qatr-E-Jahan Mein Khalid
Sagar E Naat Se Qatre Jo Uchchal Jaate Hai
__________________________________________
Aap Ko Kaabaye Maqsood Hi Maanoon Khalid
Ap kay Dar Pe Sab Armaan Nikal Jaate Hain
__________________________________________