Hai Kalaame Ilahi Me Shamsudduha
Tere Chehra-E Noor Fiza Ki Qasam
______________________________
Qasame Shabbe Taar Me Raaz Ye Tha
Ke Habeeb Ki Zulfe Dota Ki Qasam
______________________________
Tere Khulq Ko Haq Ne Azim Kaha
Teri Khalq Ko Haq Ne Jameel Kiya
______________________________
Koyee Tujhsa Huwa He Na Hoga Shaha
Tere Khalike Husno Ada Ki Qasam
______________________________
Wo Khuda Ne Hai Martabe Tujko Diya
Na Kisi Ko Mile Na Kisi Ko Mila
______________________________
Ke Kalaame Majid Ne Khayi Shaha
Tere Shehro Kalaamo Baqaa Ki Qasam
______________________________
Tera Masnade Naaz He Arshi Bari
Tera Mehrame Raaz He Roohi Ami
______________________________
Toohi Sarware Har Do Jahan He Shaha
Tera Misl Nahin He Khuda Ki Qasam
______________________________
Yehi Arz He Khaaliqe Arzo Samaan
Woh Rasool Haitere Me Bandaa Tera
______________________________
Muje Unke Jawaar Me De Wo Jagaa
Ki Khuld Ko Jiski Safa Ki Qasam
______________________________
Toohi Bando Pe Kar Ta He Lutfo Ata
He Tujhi Pe Barosa Tujhi Se Dua
______________________________
Mujhe Jalwaa Paake Rasool Dikha
Tujhe Apne Hi Izzo Ula Ki Qasam
______________________________
Yehi Kehti He Bulbule Baage Jinaa
Ke Raza Ki Tarah Koyee Sehr Bayan
______________________________
Nahin Hind Me Wasife Shahe Huda
Mujhe Shokhi-E Tabi Raza Ki Qasam
______________________________
Hai Kalaam E Ilahi Me Shamsuz’zuha
Tere Chehre Noore Faza Ki Qasam
______________________________
Qasam E Shab E Taar Me Raaz Yeh Tha
Ke Habeeb Ki Zulfe Duta Ki Qasam
______________________________