Kabhi Subho Masa Ki Yaad Aayi Kabhi Shamo Sahar Ki Yaad Aayi
Hum Bhool Gaye Jannat Ki Gali Jab Taiba Nagar Ki Yaad Aayi
————————————————————-
Sawan Ki Ujli Raaton Me Jab Chand Ki Janib Daikh Liya
Aye Amina Bibi Teray Hi Bus Noore Nazar Ki Yaad Aayi
————————————————————-
Jab Baat Anasagar Ki Chali Jab Zikre Musalla Hone Laga
Kabhi Khawaja Piya Ki Yaad Aayi Kabhi Ganje Shakar Ki Yaad Aayi
————————————————————-
Sar Jis nay Sitam Ka Kat Diya Islam Ka Dushman Chant Diya
Kirdar Umar Ka Yaad Aaya Talwaar Umar (R.A) Ki Yaad Aayi
————————————————————-
Jab Ishaq Ne Chedha Ye Sargam Shab Jaye Ki Man Bodam Us Dam
Mahboobe Ilahi Par Khusro Ke Peere Nazar Ki Yaad Aayi
————————————————————-
Talwar Ke Saaye Me Sajda Naize Pe Tilawat Quraan Ki
Jab Mahfil Me Iska Zikar Huwa Shabbir Ke Sar Ki Yaad Aayi
————————————————————-
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.