Hum ko Sarkar Madine me Bulaana Ho Ga
Dard Mandon Ko Bhi Seenay Lagaana Ho Ga
—————————————————
Jo Tadaptein Hain Gareebi me Huzoori ko Huzoor
Paas Unko Bhi Tumhein Apne Bulaana Ho Ga
—————————————————
Hum ne Sarkar (SallAllahu Alaihi Wasallam) ki Mehfil ko Sajaana Ho Ga
Dekhna Phir Mere Sarkar )SallAllahu Alaihi Wasallam) ka Aana Ho Ga
—————————————————
Naat Likhta hi Rahun Naat Main Padhta hi Rahun
Khud hi Bas Mere Jaane Ka Thikaana Ho Ga
—————————————————
Main to Unka Hun Gadaa Qabr me Bhi Keh Duga
Naar e Dozakh se Ye Bachne ka Bahaana Ho Ga
—————————————————
Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Unka SanaKhwaan Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera Hi Aaqa Ho Ga
—————————————————
Aaj Qadmon me Beetha Kar Mujhe Izzat Bakhshi
Baad Marne k Bhi Qadmon me Sulaana Ho Ga
—————————————————
Tu Kyun Ghabraaye Bhalaa Aaley Mohammed Ho Kar
Hashr Tak Saath Tere Tera hi Nana Ho Ga
—————————————————
Eid e Milad ka Sadqa Humein Eidi De do
Aaj Hum Sab pe Bhi Eidi ko Lutana Ho Ga
—————————————————
Do Ijaazat Mujhe Bhi Laut k Aane ki Shahaa
Phir Mujhe Jald hi Qadmon mein Bulaaa Ho Ga
—————————————————
Waasta Zehra o Hasnain o Ali Ka Tum ko
Ranj o Gam Dard o Alam Sab k Meetaana Ho Ga
—————————————————
Sayyed e Khasta ki Hai Aarzu Itni Aaqa
Waqt e Rukhsat Bhi Tumhein Jalwa Dikhana Ho Ga
—————————————————