Huzoor E Kaaba Hazir Hain, Haram Ki Khak Par Sar Hai
Huzoor E Kaaba Hazir Hain, Haram Ki Khak Par Sar Hai
———————————————————————-
Badi Sarkaar Mein Pohnche, Muqaddar Yaawari Par Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
———————————————————————-
Na Hum Aane Ke Qaabil The, Na Muh Laaiq Dikhane Ke
Magar Tera Karam Banda Nawaz O Banda Parwar Hai
Badi Sarkaar Mein Pohnche,
———————————————————————-
Jo Haibat Se Ruke Mujrim, Tou Rehmat Ne Kaha Baddhkar
Chale Aao Chale Aao Ye Ghar Rahmaan Ka Ghar Hai
Badi Sarkaar Mein Punhchay,,,,
———————————————————————-
Ye Zammzamm Iss Liye Hain, Jiss Liye Iss Ko Piye Koi
Issi Zammzamm Mein Jannat Hai, Issi Zammzamm Mein Kausar Hai
Badi Sarkaar Mein Punhchay,,,,
———————————————————————-
Huwa Hai Peer Ka Hajj Peer Ne Jinse Sharaf Paaya
Unhi Ke Sadqe Mein Din Jumma Ka Har Dinn Se Behtar Hai
Badi Sarkaar Mein Punhchay,,,,
———————————————————————-
Naahin Kuch Jumma Par Mauquff Afzano Karam Unke
Jo Wo Maqbool Formale Tou Har Hajj Hajj E Akbar Hai
Badi Sarkaar Mein Punhchay,,,,
———————————————————————-
Hassan Hajj Karliya, Kaabe Se Aankhoun Ne Ziya Paayi
Chaalo Dekhay Wo Basti Jiss Ka Rasta Dill Ke Andar Hai
———————————————————————-