“Janum Ali Ali” is a beautiful noha that celebrates Hazrat Ali (A.S.), a very important person in Islam. The words show how much the singer loves and believes in Ali. The noha repeats “Ali, Ali” a lot, like a heartbeat, showing that Ali is always in their thoughts. It talks about how remembering Ali brings peace and a special feeling. It also says that Ali is a guide who can lead us closer to God. The lyrics explain that Ali is a hero who always helped Islam, even when he faced many challenges. It’s a noha about deep faith and love for Ali.
Janum Ali Ali – Nadeem Sarwar
Ali.. Har Dam Har Dam Ku Baku Ya Ali Ya Ali Ya Ali..(2)
Sadiq O Bawafa Manam, Dum Hamadam Ali Ali Har Dam Har Dam Ku Baku, Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Ashiq E Murtaza Manam, Dam Hamadam Ali Ali Har Dam Ku Baku, Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Hai Aqeeda Mera Yehi Hai Wazeefa Mera Yehi Salwat Bar Muhammad Durood Bar Maula Ali
Ya Ali.. Ya Ali..
Ya Ali, Kaash Mera Ishq Asar Dikhlaye Ya Ali.. Ya Ali.. Ya Ali, Kaash Mera Ishq Asar Dikhlaye Jin Se Hai Pyaar Tumhein Un Mein Jagah Mil Jaye Mai Yeh Samjhunga..(2) Mai Yeh Samjhunga Mujhe Mil Gai Manzil Maula Aap Ke Dar Ke Faqeero’n Mein Jo Naam Aa Jaye
Janam Ali Ali, Janum Ali Ali, Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Qasam Allah Ki Mera To Wazeefa Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali Dil Ki Dharhkan Mein Bhi Dhak Dhak Ke Dhadakta Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Door Talak Ba Khuda Door Talak Goonjti Hai Yeh Sada Ali Ali Ali Ali Maula Ali
Hum Se Poocho Keh Ali Maula Se Milta Kya Hai Hum Faqeero’n Ka Ali Walo’n Ka Rasta Kya Hai Apne Sardar Se Nokar Ka Yeh Rishta Kya Hai Nokri Chhorh Dun Haider Ki To Bachta Kya Hai Jis Pe Allah Ho Meharban Use Milta Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Bol Ali Bol, Bol Ali Bol Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali
Asadullah, Wali ullah, Ayatullah, Ali Ameer ul Momineen
Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Kitna Aala O Zabardast Yeh Naara Hai Ali Jab Lage Nara To Lagta Hai Garajta Hai Ali Sadqe Is Naam Ke Yeh Naam Hi Aisa Hai Ali Bol Ali Bol Ali Bol Wazeefa Hai Ali Kya Muqaddar Hai Hamara Keh Hamara Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Qasam Allah Ki Mera To Wazeefa Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali Dil Ki Dharhkan Mein Bhi Dhak Dhak Ky Dhadakta Hai Ali Janum Ali Ali, Janam Ali Ali
Door Talak Ba Khuda Door Talak Goonjti Hai Yeh Sada Ali Ali Ali Ali Maula Ali
Ishq Haider Ka Yaqeenan Yeh Sila Deta Hai Apne Aashiq Ko Yeh Darwaish Bana Deta Hai Aalam E Zaat Mein Ek Rang Charha Deta Hai Phir Yehi Ishq Muhammad Se Mila Deta Hai
Jo Khuda Tak Hamein Le Jaye Woh Rasta Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Bol Ali Bol, Bol Ali Bol Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali
Ali Ali Ali Ali..(4)
Bol Ali Bol, Bol Ali Bol
Kya Khabar Kis Ko Pata Kitna Hai Anmol Ali Be Khabar Aql Ke Meezan Pe Mat Tol Ali Apni Saanso’n Mein Wazeefo’n Mein Tu Bas Bol Ali Beth Maula Ke Faqeero’n Mein Zara Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol
Bol Ali Bol, Bol Ali Bol Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali
Mai Jahan Jaun Mere Sath Hi Rehta Hai Ali Mere Ghar Mein Bhi Sawari Mein Bhi Hota Hai Ali Baat Karta Hun To Baato’n Mein Bhi Milta Hai Ali Meri Tanhai Ki Khamoshi Ko Sunta Hai Ali Mera Eema’n Hai Mere Sath Hamesha Hai Ali Janam Ali Ali Janam Ali Ali
Qasam Allah Ki Mera To Wazeefa Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali Dil Ki Dharkhan Mein Bhi Dhak Dhak ke Dhadakta Hai Ali Janam Ali Ali, Janum Ali Ali
Door Talak Ba Khuda Door Talak Goonjti Hai Yeh Sada Ali Ali Ali Ali Maula Ali
Ghar Ali Ka Hi Sada Deen Ke Kam Aaya Hai Khoo’n Ali Ka Hi Sar e Karbobala Bikhra Hai Woh Hussain Akbar O Asghar Woh Alam Wala Hai Goonjta Aaj Bhi Zainab Ka Yehi Khutba Hai Ibn E Marjana Yeh Sun Le Mera Baba Hai Ali Janum Ali Ali Janum Ali Ali
Bol Ali Bol, Bol Ali Bol Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali
Asadullah, Waliullah, Ayatullah, Ali Ameer ul momineen
Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Ya Ali Aap Ko Sadmo’n Se Guzarta Dekha Apne Hi Shehr Mein Maula Tumhein Tanha Dekha Fatima Zehra Ko Rote Hi Hamesha Dekha Waar Talwar Ka Tum Par Sar E Sajda Dekha Ba Khuda Aaj Bhi Turbat Mein Tadapta Hai Ali Janum Ali Ali, Janum Ali Ali
Door Talak Ba Khuda Door Talak Goonjti Hai Yeh Sada Ali Ali Ali Ali Maula Ali
Ali Asaduallh Ali Ali Waliullah Ali Ali Ali
Ali Ali Ali Ali..(4)
Shah E Shariatam Ali Peer E Tariqatam Ali Haq Ba Haqeeqatam Ali
Ali Ali Ali Ali..(2)
Noor E Wilayatam Ali Sham E Hidayatam Ali Jaan E Risalatam Ali
Ali Ali Ali Ali..(2) Ali Ali Ya Ali Ali
Naaz E Haram .. Ali Ali Deen Ka Bharam .. Ali Ali Dast E Karam .. Ali Ali Ishq E Manam .. Ali Ali Jaan O Dilam .. Ali Ali Zor E Qalam .. Ali Ali Shah E Manam .. Ali Ali Naaz E Haram .. Ali Ali Ishq E Manam .. Ali Ali
Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali Bol Ali
Ya Ali.. Ya Ali..
Muhammad Nadeem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He passionately shares Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English on www.videonaats.com.