Ooj Paana Mere Huzoor Ka Hai,
Arsh Jaana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Arsh Se Bhi Paray Woh Ho Ae,
Aana Jaana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Shadiyane Bajay Shab E Mairaj,
Aaj Jana Meray Huzoor Ka Hai.
__________________________
Haq Ta’aala Ka Jalwa Raaton Raat,
Daikh Aana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Baithay Baithay Madinah Ghoom Ae,
Kya Bulaana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Dainay Waali Hai Zaat Allah Ki,
Par Dilaana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Qabar Ka Khoaf Ho Mujhay Kyon Kar,
Wahan Pay Aana Mery Huzoor Ka Hai.
__________________________
Gam Na Mehsar Ki Dhoop Ka Hai Waan,
Shamiyana Mere Huzur Ka Hai.
__________________________
Kash Kehnay Lagain Yeh Log Obaid,
Tu Deewana Mere Huzoor Ka Hai
__________________________
Dil Ubaid E Raza Ka Hai Gulshan,
Dil Sajana Mere Huzur Ka Hai.
__________________________
Main Hoon Tayyar Intazar Yeh Hai,
Kab Bulaana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
La’al-O-Yaqoot-O-Neelam-O-Marjaan,
Har Khazaana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Bhai Bhai Muhajiro Ansar,
Dil Milana Mere Huzur Ka Hai.
__________________________
Lalo Yaqut Nilamo Marjan,
Har Khazana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Jame Sheer Ek Sher Sattar Ne,
Yeh Pilana Mere Huzoor Ka Hai.
__________________________
Naat Title | Ooj Paana Mere Huzoor Ka Hai |
Naat khawan | Alhaj Owais Raza Qadri |
Language | Urdu |
Lyrics | Ala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan Barelvi R.A |
Album | Nill |
Duration | 12.02 Minutes |
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.