Terey Hotey Janam Liya Hota,
Koi Mujh sa Na Dusra Hota ..
__________________________________
Saans Laita Tuu Aur Main Jee Uth’ta,
Kaash Makkah Ki Main Fiza Hota ..
__________________________________
Hijraton Mein Parraao Hota Main,
Aur Tuu Khuch Dair Ko Rukaa Hota ..
__________________________________
Teray Hujray K Aass Pass Kaheen,
Main Koi Kacha Rastaa Hota ..
__________________________________
Beech Taif Bawaqt E Sang-Zani,
Teray Lab Pe Saji Duaa Hota ..
__________________________________
Kisi Ghazwa Mein Zakhmi Ho Ker Main,
Terey Qadmon Mein Jaa Gira Hota ..
__________________________________
Kaash Uhad Mein Shareeq Ho Sakta,
Aur Baaqi Na Phir Bacha Hota ..
__________________________________
Teri Pakeeza Zindagi Ka Main,
Koi Gumnaam Waqeyaa Hota ..
__________________________________
Main Koi Jang-Juu E Arab Hota,
Aur Teray Saamnay Jhukaa Hota ..
__________________________________
Main Bhi Hota Tera Ghulam Koi,
Laakh Kehta, Na Main Rehaa Hota ..
__________________________________
Sochta Hun Main Tab Janam Leta,
Jaanay Phir Kya Se Kya Hua Hota ..
__________________________________
Chaand Hota Teray Zamanay Ka,
Phir Teray Hukam Se Battaa Hota ..
__________________________________
Mujh Pe Parrti Jo Teri Chashm E Karam,
Aadmi Kya .. Main Maujzaa Hota ..
__________________________________
Asman Hota Ehad E Nabwi Ka,
Tujh Ko Hairat Se Daikhta Hota ..
__________________________________
Pairr Hota Khajoor Ka Main Koi,
Jiss Ka Phal Tuu Ne Khaa Liya Hota ..
__________________________________
Bacha Hota Ghareeb Baiwa Ka,
Sir Teri Gaud Mein Chupa Liya Hota ..
__________________________________
Rasta Hota Teray Guzarnay Ka,
Aur Tera Raasta Dekhta Hota ..
Buutt Hee Hota Mein Khana E Kaaba Mein,
Jo Teray Haath Se Fanaa Hota ..
__________________________________
Mujh Ko Khaaliq Banata Ghaar ‘Hassan’
Aur Mera Naam Bhi Hiraa Hota ..
__________________________________
Tere Hotey Janam Liya Hota,
Koi Mujhsa Na Doosra Hota ..
__________________________________
Naat Title | Tere Hote Janam Liya Hota |
Naat khawan | Hassan Nisar |
Language | Urdu |
Lyrics | Hassan Nisar |
Album | Mehfil _e _ Naat |
Duration | 5.20 Minutes |
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.