Shah-E-Madina Suno Ilteja Khuda Ke Liye
Karam Ho Mujh Pe Habib-E-Khuda Khuda Ke Liye
Huzur Ghuncha-E-Ummeed Ab To Khil Jaaye
Tumhaare Dar Ka Gadaa Hun To Bhik Mil Jaaye
______________________________________
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad (S.A.W)
Lawt Kar Mein Na Jaaunga Khaali
______________________________________
Tumhaare Aastaane Se Zamaana Kya Nahin Paata
Koi Bhi Dar Se Khaali Maangne Waala Nahin Jaata
______________________________________
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madina
______________________________________
Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi
Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi
Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho
Tum Gharibon Ke Gham-Khwaar Ho Nabi
______________________________________
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madina
______________________________________
Hum Hain Ranj-O-Musibat Ke Maare Hue
Sakht Mushkil Mein Hain Gham Se Haare Hue
Ya Nabi Kuchh Khudaara Humein Bhik Do
Dar Pe Aaye Hain Jholi Pasaare Hue
______________________________________
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madina
Hai Mukhaalif Zamaana Kidhar Jaaein Hum
Haalat-E-Bekasi Kisko Dikhlaaye Hum
Hum Tumhaare Bhikaari Hain Ya Mustafa
Kiske Aage Bhalaa Haath Phailaayein Hum
______________________________________
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madina
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madina
______________________________________
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad (S.A.W)
Lautkar Main Na Jaaunga Khaali
______________________________________
Kuchh Nawaason Ka Sadqa Ataa Ho
Dar Pe Aaya Hun Bankar Sawaali
______________________________________
Haq Se Paayi Wo Shaan-E-Karimi
Marhaba Dono Aalam Ke Waali
Uski Qismat Ka Chamka Sitaara
Jis Pe Nazr-E-Karam Tum Ne Daali
______________________________________
Zindagi Bakhsh Ki Bandagi Ko
Aabru Din-E-Haq Ki Bachaali
Wo Muhammad (S.A.W) Ka Pyara Nawaasa
Jiss ne Sajde Mein Gardan Kataali
______________________________________
Jo Ibn-E-Murtaza Ne Kiya Kaam Khub Hai
Qurbaani-E-Hussain Ka Anjaam Khub Hai
Khurbaan Ho Ke Fatema Zehra Ke Chain Ne
Din-E-Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne
Bakhshi Hai Jisne Mazhab-E-Islam Ko Hayaat
Jitni Azim Hazrat-E-Shabbir Ki Hai Zaat
Maidaan-E-Karbala Mein Shah-E-Khush Khisaal Ne
Sajde Mein Sar Kataa Ke Mohammad Ke Laal Ne
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabru Din-E-Haq Ki Bachaali
Wo Muhammad (S.A.W) Ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali
______________________________________
Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam
Ummati Ye Kahengey Khushi Se
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
______________________________________
Mehshar Ke Roz Pesh-E-Khuda Hongey Jis Ghadi
Hogi Gunahgaaron Mein Kis Darjaa Bekali
Aate Hue Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati
Ek Dusre Se Sab Ye Kahengey Khushi Khushi
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
______________________________________
Sar-E-Mehshar Gunahgaaron Se Purzish Jis Ghadi Hogi
Yaqinan Har Bashar Ko Apni Bakhshish Ki Parhi Hogi
Sabhi Ko Aas Us Din Kambli Waale Se Lagi Hogi
Ke Aise Mein Mohammad Ki Sawaari Aa Rahi Hogi
Pukaarega Zamaana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaron
Na Ghabraao Gunahgaaron Na Ghabraao Gunahgaaron
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
______________________________________
Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha
Sachaa Ye Waaqiya Hai Azaan-E-Bilaal Ka
Ek Din Rasul-E-Paak Se Logon Ne Yun Kahaa
Ya Mustafa Azaan Ghalat Dete Hain Bilaal
Kahiye Huzur Aapka Is Mein Hai Kya Khayaal
Farmaaya Mustafa Ne Ye Sach Hai To Dekhiye
Waqt-E-Sahar Ki Aaj Azaan Aur Koi De
Hazrat Bilaal Ne Jo Azaan-E-Sahar Na Di
Khudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Hui
Aaye Nabi Ke Paas Kuchh As’haab-E-Baasabaa
Ki Arz Mustafa Se Ay Shah-E-Ambiya
Hai Kya Sabab Sahar Na Hui Aaj Mustafa
Jibril Laaye Aise Mein Payghaam-E-Kibriya
Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam
Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam
Yun Jibrail Ne Kahaa Khair Ul Anaam Se
Allah Ko Hai Pyar Tumhaare Ghulaam Se
Farmaa Raha Hai Aap Se Ye Rabb-E-Zuljalaal
Hogi Na Subha Dengey Na Jab Tak Azaan Bilaal
Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha
Arsh Waale Bhi Sunte Thhey Jisko
Kya Azaan Thi Azaan-E-Bilaali
______________________________________
Kaash Purnam Se Aaye Nabi Mein
Jite Ji Ho Bulaawa Kisi Din
Haal-E-Gham Mustafa Ko Sunaaun
Thhaam Kar Unke Rauze Ki Jaali
______________________________________
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad (S.A.W)
Laut kar Main Na Jaon Ga Khaali
______________________________________
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.