Chalo Diyyaar-E-Nabi Ki Jaanib Full Naat Lyrics

Chalo Diyyaar-E-Nabi Ki Jaanib Darood Lab Par Sajja Sajja Kar
Bahaar Lootein Ge Ham Karam Ki Dilon Ko Daman Bana Bana Kar
__________________________________________________
Na Un Ke Jesa Sakhi Hei Koii Na Un Ke Jesa Ghani Hei Koi
Wo Be-Nawa-O Ka Har Jaga Se Nawaazte Hein Bula Bula Kar
__________________________________________________
Mein Wo Nikamma Hun Jisski Jholi Main Koii Husn-E-Amal Nahiin Hei
Magar Wo Ihsaan Kar Rahe Hein Khata-Ain Meri Chhupa Chhupa Kar
__________________________________________________
Hei Unki Ummat Se Pyaar Kitna Karam Hei Rahmat Sha’aar Kitna
Hamaray Jurmon Ko Dho Rahe Hein Wo Apne Aansu Baha Baha Kar
__________________________________________________
Yahi Asaas-E-Amal Hei Meri Issi Se Bigrri Bani Hei Meri
Samett-Ta Hun Karam Khuda Ka Nabi Ki Naatain Suna Suna Kar
__________________________________________________
Wo Raahain Ab Tak Saji Huii Hein Dilon Ka Kaaba Bani Huii Hein
Jahaan Jahaan Se Huzur Guzre Hein Naqsh Apna Jama Jama Kar
__________________________________________________
Agar Muqaddar Ne Yaawri Ki Agar Madine Gya Mein Khaalid
Qadam Qadam Khaak Uss Gali Ki Mein Chuum Lun Ga Uttha Uttha Kar

__________________________________________________

author avatar
Muhammad Waseem Owner
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.