Chamakne Laga Sunniyat Ka Sitara Full Manqabat Lyrics

Chamakne Laga Sunniyat Ka Sitara
Baraily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye
Huwa Sard Fitnoun Ka Har Ekk Sharara
Baraily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye
______________________________
Udhar Kufar Ki Saari Tanzeemien Shamill
Idhar Ahle Sunnat Akele Muqabill
Magar Sunniyoun Ne Hi Maidaan Maara
Baraily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye
______________________________
Fataawe Mein Itni Hadeesen Sajaayi
Ke Jiss Pe Karen Faqr Rooh E Buqaari
Baraily Bana Sunniyoun Ka Buqaara
Baraily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye
______________________________
Go Urdu Mein Pehle Bhi Thi Naat Goyi
Magar Qaabile Tazkira Thi Na Koyi
Falak Chu Gaya Shayari Ka Minaara
Baraily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye
______________________________
Bahut Hi Munazzam The Najdi Wahabi
Thi Har Su Kharaabi Kharabi Kharaabi
Huwa Ittehaad Uska Kull Paara Paara
Baraily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye
______________________________
Pachsou Uloom Ekk Seene Mein Maqfi
Fasaana Nahi Ye Haqeeqat Hai Faizi
Magar Ye Haqeeqat Huwi Aashkaara
Baraily Mein Ahmad Raza Jabse Aaye

______________________________