Di Hazarat-E Bilal Ne Kaa’bay Se Jab Sada
Hayya Alass Salah, Hayya Alah Falah
Aalam Me Aam Naraa E Tauheed Ho Gaya
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
Irshad-E-Kibriya Hai Ye Farmaane Mustafa
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
==============================
Paida Hue Rasool To Rehmat Baras Padi
Thi Arsh Se Zameen Talak Noor Ki Jhadi
Daee Haleema Goud Me Lekar Jo Chal Padi
Beemar Ootni Me Ajab Jaan Pad Gayi
Baade Saba Ne Jhoom Ke Kaano Me Yoon Kaha
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
==============================
Pahucha Jo Unke Dar Pe Muqaddar Sawar Gaya
Marehra Se Hai Shehre Bareili Ka Silsila
Bagdaad Se Hai Shehre Madina Ka Raabta
Gausul Wara Ke Naam Se Dil Ko Sukoon Mila
Jibreel Aaye Nasbe Alam Kaabe Par Kiya
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
==============================
Islam Ke Alam Ko Uthaya Hussain Ne
Baatil Ke Aage Sar Na Jhukaya Hussain
Kya Cheez Hai Namaaz Bataya Hussain Ne
Sajde Me Apne Sar Ko Kataya Hussain Ne
Ye Dashte Karbala Se Abhi Aati Hai Sadaa
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
==============================
Meraj Me Jo Rab Ne Bulaya Huzoor Ko
Jibraeel Aaye Aur Jagaya Huzoor Ko
Haq Ki Raza Ka Jaam Pilaya Huzoor Ko
Chalne Lage To Rab Ne Bataya Huzoor Ko
Ummat Se Jaake Kehna Yehi Tohfa Hai Mila
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
==============================
Daadhi Tamaam Nabiyon Ki Sunnat Hai Momino
Islam Ka Shi’ar Hai Rehmat Hai Momino
Sarkar Ki Ghulami Ki Nisbat Hai Momino
Sunnat Pe Jo Chala Use Jannat Hai Momino
Jannat Me Bhi Milega Hume Qurbe Mustafa
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
==============================
Meraj Rooh E Ahle Baseerat Namaaz Hai
Afzal Tareen Shughl Sa’adat Namaaz Hai
Meray Nabi (Pbuh) Ki Aankhoon Ki Thandak Namaaz Hai
Momin Ke Waaste To Sa’adat Namaaz Hai
Yeh Hai Kaleem Mazhar E Altafe Kibriya
Hayya Alass Salah Hayya Alal Falah
==============================
Muhammad Waseem is a seasoned Naat and lyrics writer with a decade of experience. He shares heartfelt Islamic content in Urdu, Hindi, Punjabi, and English, touching the hearts of Muslims worldwide.